Tuesday, October 20, 2026

for rooji, a poem in my dreams

yeh zindagi ka lamba hai safar, 
aatein hai kuch panne 
jo aagey palat nahi paatey, 
iss sabh mein insaan dhoondta hai ghar. 

na toh ye cement se bana hai na hi patthar 
na toh hai isme deeware, na koi baahar, na koi andar
na kuch jise dekha jaye, jise chhooah paye 
ye ghar hai aisa jisko sirf mehsoos kiya jaye 
zindagi ke shor mein isko insaan khojta rehta hai, 
khaamoshiyan aur sukoon mein fark samajh jaata hai, 
aisa ghar jisme ek pal mein saare mausum ho mehsoos,
jo bina kuch kahe hi keh dete hain voh daastan jo hai khaamosh
kahan hai ye ghar? 
zindagi mein milega, ya hai sirf ek mann ki soch? 

bheed mein chalte chalte, achanak ek jahah dil thehar gaya,
jaise har raasta khud b khud yahan laane ke liye mud gaya, 
jisko door door tak kisi sarhad ya deewaron ka koi nahi tha asar, 
usko aaj mil gaya hai kisi ki baahon mein, aakhir, yeh ghar